Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
ZINDAGI AB KAHI NAHI.....
Nigal Gaye Sab Ki Sab Samandar Jami Bachi Ab Kahi Nahi Hai,
Bachaate Hum Apni Jaan Jismein Woh Kasti Bhi Ab Kahi Nahi Hai,
Bahut Dino Baad Paayi Fursat Toh Maine Khud Ko Palatkar Dekha,
Magar Main Pahchanta Tha Jisko Woh Aadmi Ab Kahi Nahi Hai,
Gujar Gaya Vakt Dil Pe Likhkar Na Jaane Kaisi Ajib Baatein,
Panna Paltata Hu Main Jo Dil Ke Toh Saadgi Ab Kahin Nahi Hai,
Woh Aag Barsi Dopahar Mein Ki Saare Manjar Jhulas Gaye Hain,
Yahan Savere Jo Taajgi Thi Woh Taajgi Ab Kahi Nahi Hai,
Tum Apne Kasbon Mein Jaake Dekho Wahan Ab Shahar Base Hain,
Ki Dhundhte Ho Jo Zindagi Tum Woh Woh Zindagi Ab Kahi Nahi Hai…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
MOHABBAT KI YEH TASVEER
Sari Hairat Hai Meri Sari Ada Uksi Hai,
Begunahi Hai Meri Aur Saja Uski Hai,
Mere Alfaj Mein Jo Rang Hai Woh Uska Hai,
Mere Ehsaas Mein Jo Hai Woh Fija Uski Hai,
Sher Mere Hain Magar Unmein Mohabbat Uski,
Phool Mere Hain Magar Baade Saba Uski Hai,
Ek Mohabbat Ki Yeh Tasveer Hai Do Rango Mein,
Shok Sab Mera Hai Aur Sari Haya Uski Hai,
Ek Mere Hi Shiwa Sabko Pukare Hai Koi,
Maine Pahle Hi Kaha Tha Yeh Sada Uski Hai,
Khoon Se Sinchi Hai Maine Jo Jamee Mar Mar Ke,
Woh Jamee Ek Sitamgar Ne Kaha Uski Hai,
Usne Hi Isko Ujada Hai Ise Loota Hai,
Yeh Jamee Uski Agar Hai Bhi Toh Kya Uski Hai,
Hamne Kya Mohabbat Ki Us Se Ijajat Li Thi,
Dil Sikan Hi Sahi Par Baat Baja Uski Hai…
-Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
DOOR JAAYE TOH GHAM HAI.....
Jab Aaina Koi Dekho Ik Ajnabi Dekho,
Kahan Par Layi Hai Tumko Yeh Zindagi Dekho,
Muhabbaton Mein Kahan Apne Waste Fursat,
Jise Bhi Chaho Woh Chahe Meri Khusi Dekho,
Jo Ho Sake Toh Jyada Hi Chahna Mujhko,
Kabhi Jo Meri Mohabbat Mein Kuchh Kami Dekho,
Jo Door Jaaye Toh Gham Hai Jo Paas Aaye Toh Gham Hai,
Na Jaane Kya Hai Woh Kambakht Aadmi Dekho,
Ujala Toh Nahi Kah Sakte Isko Hum Lekin,
Jara Si Kam Toh Huyi Hai Andhkar Dekho…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
ACHHA NAHI LAGTA.....
Jidhar Jate Hain Sab, Udhar Jana Achha Nahi Lagta,
Mujhe Puraane Raston Ka Safar, Achha Nahi Lagta,
Galat Baaton Ko Khamoshi Se Suno, Hami Bhar Lena,
Bahut Hain Fayde Is Mein Magar Achha Nahi Lagta,
Mujhe Dushman Se Bhi Khuddari Ki Umeed Rahti Hai,
Kisi Ka Bhi Ho Sar Kadmon Mein Achha Nahi Lagta,
Bulandi Par Inhe Mitti Ki Khusbbo Tak Nahi Aati,
Yeh Woh Shakhe Hain Jinko Ab Shajar Achha Nahi Lagta,
Yeh Kyu Baki Rahe Aatish Jano Yeh Bhi Jala Dalo,
Ki Sab Beghar Ho Aur Mera Ho Ghar Achha Nahi Lagta…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
NA KHWAB KOI NA AARJU HAI......
Kabhi Kabhi Main Yu Sochta Hu Ke Mujhe Teri Talash Kyu Hai
Ki Jab Hain Sare Hi Taar Tute Toh Saaj Mein Kampan Kyu Hai,
Koi Agar Puchhta Yeh Hamse Batate Hum Gar Toh Kya Batate,
Bhala Ho Sabka Ke Yeh Na Puchha Ki Dil Pe Aisi Kharash Kyu Hai,
Uthake Hatho Se Tumne Chhoda Chalo Na Jaanbujhkar Tune Toda,
Ab Ukta Hunse Toh Yeh Na Puchho Ki Sisha Yeh Chur Chur Kyu Hai,
Ajab Dorahe Par Zindagi Hai Kabhi Hawas Dil Ko Khinchati Hai,
Kabhi Yeh Sarmindagi Hai Dil Mein Ki Itni Fikare Maash Kyu Hai,
Na Fikar Koi Na Just Ju Hai Na Khwab Koi Na Aarju Hai,
Yeh Shakhs Toh Kab Ka Mar Chuka Toh Bekafan Laash Kyu Hai…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
JULF TERI KOI SANWARE....
Hamne Dhunde Bhi Toh Dhubde Hain Sahare Kaise,
In Sharabo Par Koi Umar Gujare Kaise,
Hath Ko Hath Nahi Sujhe Woh Andhkar Thi,
Aa Gaye Haath Mein Na Jaane Sitare Kaise,
Har Taraf Shor Usi Naam Ka Hai Duniya Mein,
Koi Usko Jo Pukare Toh Pukare Kaise,
Dil Bujha Jitane The Arman Saare Khak Huye,
Rakh Mein Fir Yeh Chamkate Hain Sarare Kaise,
Na Toh Dam Leti Hai Tu Na Hawa Thamti Hai,
Zindagi Julf Teri Koi Sanware Kaise…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
KHWAB MEIN GHAR DEKHIYE
Kal Jahan Deevar Thi Hai Aaj Ek Dar Dekhiye,
Kya Samayi Thi Bhala Deewane Ke Sa Dekhiye,
Shantimay Lagti Hai Kitni Jhil Ke Pani Par Hans,
Pairon Ki Betabiya Pani Ke Andar Dekhiye,
Chhodkar Jisko Gaye The Aap Koi Aur Tha,
Ab Main Koi Aur Hu Wapis Toh Aakar Dekhiye,
Chhote Se Ghar Mein The Dekhe Khwab Mahalo Ke Kabhi,
Aur Ab Mahlon Mein Hain Toh Khwab Mein Ghar Dekhiye,
Akal Yeh Kahti Hai Duniya Milti Hai Bazar Mein,
Dil Magar Yeh Kahta Hai Kuchh Aur Behtar Dekhiye…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
JAAN KO NISHAR KAR DE....
Tu Kisi Pe Jaan Ko Nishar Kar De Ki Dil Ko Kadmon Mein Dall De,
Koi Hoga Tera Yahan Kabhi Yeh Khyak Dil Se Nikal De,
Mere Hukmara Bhi Ajib Hain Ki Jawab Leke Woh Aaye Hain,
Mujhe Hukm Hai Ki Jawab Ka Hamein Sidha Sidha Sawal De,
Rago Mein Jam Gaya Sard Khoo Na Main Chal Saku Na Hil Saku,
Mere Gham Ki Dhoop Ko Tej Kar Mere Khoon Ko Tu Ubal De,
Woh Jo Muskara Ke Mila Kabhi Toh Yeh Fikar Jaise Mujhe Huyi,
Kahu Apne Dil Ka Jo Mudda Kahin Muskara Ke Na Taal De,
Yeh Jo Man Dinki Hai Roshani Toh Yeh Dil Hai Raat Mein Chandani,
Mujhe Khwab Utne Hi Chahiyen Jitane Jamana Khyal De…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
ZINDAGI KI SHARAB...
Yahi Halat Aarambh Se Rahe,
Log Hamse Khafa Khafa Se Raha,
In Chiragon Mein Tel Hi Kam Tha,
Kyu Gila Humko Fir Fir Hawa Se Raha,
Bahas Satranj Sher Sangeet,
Tum Nahi The Toh Yeh Dilase Rahe,
Zindagi Ki Sharab Mangate Ho,
Humko Dekho Ki Pike Pyase Rahe,
Usko Bando Ko Dekhkar Kahiye,
Humko Umeed Kya Khuda Se Rahe…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
SHARAB KA DARIYA...
Mishal Iski Kahan Hai Koi Jamane Mein,
Ki Saaare Khone Ke Gham Paaye Humne Paane Mein,
Woh Shakl Pighli Toh Har Shay Mein Dhal Gayi Jaise,
Ajib Baat Huyi Hai Use Bhulane Mein,
Jo Muntjir Na Mila Woh Toh Hum Hain Sarminda,
Ki Hamne Der Laga Di Paltake Aane Mein,
Samajh Liya Tha Kabhi Ik Sharab Ka Dariya,
Par Ik Sukun Tha Humko Fareb Khane Mein,
Jhuka Darkhat Hawa Se Toh Aandhiyo Ne Kaha,
Jyada Fark Nahi Jhukne Tut Jaane Mein…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
DUKHTA NAHI TOH DIL...
Dekhne Mein Kya Hai Jo Haasil Nahi Hai,
Magar Yeh Toh Meri Manjil Nahi Hai,
Yeh Thoda Ret Ka Hai Bich Dariya,
Yeh Bah Jaayega Yeh Sahil Nahi Hai,
Bahut Aasan Hai Pahchan Iski,
Agar Dukhta Nahi Toh Dil Nahi Hai,
Musafr Woh Ajab Hai Karwa Mein,
Ki Jo Hamrah Hai Shamil Nahi Hai,
Kabhi Toh Raat Ko Tum Raat Kah Do,
Yeh Kaam Itna Bhi Ab Muskil Nahi Hai…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
NA JUDAYI HAI NA MILAN....
Yakin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahi Raha,
Toh Sukr Kijiye Ki Ab Koi Gila Nahi Raha,
Na Judayi Hai Na Milan Hai Ab Isko Koi Kya Kahe,
Ki Phool Sakh Par Toh Hai Magar Khila Nahi Raha,
Khajane Tumne Paaye Toh Garib Jaise Ho Gaye,
Palak Par Ab Koi Moti Jhilmila Nahi Raha,
Badal Gayi Hai Zindagi Badal Gaye Hai Log Bhi,
Pyar Ka Jo Tha Kabhi Ab Woh Sila Nahi Raha,
Jo Dushmani Kanjush Se Huyi Toh Itni Khair Hai,
Ki Jahar Uske Paas Hai Magar Pila Nahi Raha…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
JEENA MUSHKIL HAI....
Jeena Mushkil Hai Ke Aasan Jara Dekh Toh Lo,
Log Lagte Hain Pareshan Jara Dekh Toh Lo,
Yeh Naya Shahar Toh Hai Khub Basaya Tumne,
Kyu Purana Hua Viran Jara Dekh Toh Lo,
In Chiragon Ka Tale Aise Andhere Kyu Hai,
Tum Bhi Rah Jaaoge Hairan Jara Dekh Toh Lo,
Tum Yeh Kahte Ho Ki Main Gair Hu Fir Bhi Shayad,
Nikal Aaye Koi Pahchan Jara Dekh Toh Lo,
Yeh Tarif Ki Tamanna Yeh Sile Ki Parwah,
Kahan Laaye Hai Arman Jara Dekh Toh Lo…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
JEENA MUSHKIL HAI....
Jeena Mushkil Hai Ke Aasan Jara Dekh Toh Lo,
Log Lagte Hain Pareshan Jara Dekh Toh Lo,
Yeh Naya Shahar Toh Hai Khub Basaya Tumne,
Kyu Purana Hua Viran Jara Dekh Toh Lo,
In Chiragon Ka Tale Aise Andhere Kyu Hai,
Tum Bhi Rah Jaaoge Hairan Jara Dekh Toh Lo,
Tum Yeh Kahte Ho Ki Main Gair Hu Fir Bhi Shayad,
Nikal Aaye Koi Pahchan Jara Dekh Toh Lo,
Yeh Tarif Ki Tamanna Yeh Sile Ki Parwah,
Kahan Laaye Hai Arman Jara Dekh Toh Lo…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
INTEZAAR JATA RAHA...
Khula Hai Dar Magar Tera Intezaar Jata Raha,
Pyar Toh Hai Magar Aitbaar Jata Raha,
Kisi Ki Aankh Mein Masti Toh Aaaj Bhi Wohi Hai,
Magar Kabhi Jo Hamein Tha Khumar Jata Raha,
Kabhi Jo Seene Mein Ek Aag Thi Woh Sard Huyi,
Kabhi Nigah Mein Jo Thi Chingari Jati Rahi,
Jab Sa Chain Tha Humko Ki Jab The Hum Bechain,
Karar Aaya Toh Jaise Karar Jata Raha,
Kabhi Toh Meri Bhi Sunvaayi Hogi Mahfil Mein,
Main Yeh Umeed Liye Baar Baar Jata Raha…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
DARD ABHI SOYA HAI...
Dard Apnate Hain Paraye Kon,
Kon Sunta Hai Aur Sunaye Kon,
Kon Dohraye Fir Wohi Baatein,
Dard Abhi Soya Hai Jagaye Kon,
Ab Sukun Hai Toh Bhulne Mein,
Lekin Us Shakhs Ko Bhulaye Kon,
Woh Jo Apne Hain Kya Woh Apne Hain,
Kon Dard Jhele Aajmaaye Kon,
Aaj Fir Dil Hai Kuchh Udas Udas,
Dekhiye Aaj Yaad Aaye Koun…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
SO GAYI THI ZINDAGI
Barson Ki Jaan Pahchan Thi Ek Roj Usne Tod Di,
Hoshiyar Hum Bhi Kam Nahi Umeed Hamne Chhod Di,
Ganth Padi Hain Kis Tarah Yeh Baat Hai Kuchh Is Tarah,
Woh Dor Tuti Bar Bar Har Bar Hamne Jod Di,
Usne Kaha Kaise Ho Tum Bas Maine Lab Khole Hi The,
Aur Baat Duniya Ki Taraf Jaldi Se Usne Mod Di,
Woh Chahta Hai Ke Sab Kahein Sarkar Toh Be-Aib Hai,
Jo Dekh Paaye Eib Woh Har Aankh Usne Fod Di,
Thodi Si Paayi Thi Khusi Toh So Gayi Thi Zindagi,
Eh Dard Tera Sukriya Jo Is Tarah Jhinjod Di…
– Javed Akhtar
Javed Akthar Shayari
~~~~~~~~~~~~~~~~~
No comments:
Post a Comment